Monday 26 January 2015

Small baby In Drainage

Sponsored Link

Small baby In Drainage


Aaj kal ka dor bohat laparwah aur bohat he sangdil ho chuka hy. Isse tarha ke aik waqey k mutalliq ham ap ko btaney ja rahey hain. Australia k city sidney me aik maa ne apny child ko barsaati naaley main phank diya tha. Or wo child mojizana tor par bach gaya. Or wo 5 din tk us naaley mai zinda raha. Beshak hum kah saktey hain k jisey Allah rakhey usey kon chukhey. najaney  Jab log paal nahi saktey to paida Q karty hain. Or phir jab paida kar lety hain to inhain istarha to nahi karna chahiye. Jab ap paal nahi saktey to ap kisi institute ko yay child dey saktey hain. Lekin humen hargiz aisa nahi karna chahiye q k insaniyat bhi kisi cheez ka naam hoti hy.
Yay khabar bilkul taza tareen hy. Jis k baarey main hum ap ko update kar rahey hain. Aik maa jis ne apney child ko naaley phaink diya tha. Sath hee aik shakhs ne us child ki roney ki awaz sun li thi. Or phir wo dekhney gya to wo heran rah gya key child ki awaz naaley me se aa rahi hy. Phir us shakhs ne foran rescue bulwai or us child ko nikal k foran hospital admit karwa diya. Or ab is ka ilaj ho raha hy. Doctors k mutabiq is child ki halat bohat tafteeshnaak btai ja rahi hy. Or police ke mutabiq child ki maa ko giraftar kar liya gya hy. Is ki maa say ab maloomat lee jaa rahi hy k ap ney aisa q kiya kis liye kiya. Police key mutabiq is ki zamanat ki application sidney ki adaalat ne mustarad kar di hy. Hamain aisey waqiat se bachna chahiye. Balkey aise waqiat ko rokna bhi chahiye. Q k jab tak hum khud nahi theek hongey us waqt tak hum dusro ko theek nahi kar saktey.
Sponsored Link

No comments:

Post a Comment

Note: only a member of this blog may post a comment.